Wednesday, January 21, 2009

[RUKHSANA] Re: Tera rasta koi or hai

Hasan jee Wel Come back
 

"Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahin
Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin

Meri Naakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye
Agar aap Jeete Hain to Main Haara Nahin

Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin

Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin

Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin

Kisko Gale Lagaa Ke Rooyen Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin

Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka AB
Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin

Wo AA Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon se
Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin


 


--- On Tue, 1/20/09, HaSSaN..? <aaya_karo_naa@yahoo.com> wrote:
From: HaSSaN..? <aaya_karo_naa@yahoo.com>
Subject: [RUKHSANA] Re: Tera rasta koi or hai
To: "My Group" <Rukhsana@yahoogroups.com>
Date: Tuesday, January 20, 2009, 5:19 PM

bhot khub Sitra ji...
 
Mere humsafar tujhe kaya khabar
 
waheedsss's Avatar
 
mujhe mosmo'n ki khabar nai
mujhe rasto'n ka pata nai
meri kya talab hy nai ilm
koi harf b mud-da nai
mujhe ulfato'n ki talash hy
mai muhabato'n ka ameen hun
meri ankh khali jo hy to kya
mere dil ka to mai makeen hun
koi aas hun k yaqeen hun
mujhe kya pata mujhe kya
khabar
kabhi mujh se mil sar.e.rah guzar
k mai tum ko khul k bata saku'n
jo kisi se b nai keh saka
wohi dasta'n b suna saku'n
mere ham-safar,mere be-khabar
meri bat sun,mere ashak chun
kabhi aa sake to palat k aa
jo nai to phir mujhe bhool ja
kyu'n ab b bhatku'n dar-badar
mere ham-safar,mere be-khabar
          
 
 


!*! Sitara !*! <sitara700@yahoo. com> wrote:
 R~U~K~H~S~A~N~A - we are different from Others !!!...
R~U~K~H~S~A~N~A - we are different from Others !!!...
 
Mere humsafar tujhe kaya khabar
Ye Jo waqt hai kisi dhoop chaon k khail as
Ise daikhte ise jheelte
Meri ankh gard se att gai
Mere khuwab rait mein kho gaye
Mere hath brf se ho gaye
Mere be khabar tere naam per
Wo Jo phool khilte the hont per
Wo nahin rahe
Wo nahin rahe
K wo Jo I rabt tha darmian
Wo bikhar gaya
Wo hawa chali,wo kisi shaam aisi hawa chali
K Jo barg the shakh-e-jaan
Wo gira diye
Wo Jo harf darj the rait per
Wo urra diye
Wo Jo raaston ka yaqeen the
Wo Jo manzilon ka ameen the
Wo nishan-e pa bhi mitta diye
Mere humsafar hai wohi safar
Magar aik morr k farq se
Tere hath se mere hath tak
Wo Jo hath bhar ka tha fasla
Kai mousamon mein badal gaya
Ise nap-te
Ise kat-te
Mera Sara waqt nikal gaya
TU mere safar ka shareek hai
Mein tere safar ka shareek Hun
Per Jo darmian se nikal gaya
Isi fasle k shumar mein
Isi be yaqeen se ghubar mein
Isi rah guzar k hasar mein
Tera rasta koi or hai
Mera rasta koi or hai
 
 
 
R~U~K~H~S~A~N~A - we are different from Others !!!...
************ ********* ********* ********
Join our Shairy forum
************ ********* ********* ********
R~U~K~H~S~A~N~A - we are different from Others !!!...
 Group Moderators
 
Rani , Mumtaz & Sitara
R~U~K~H~S~A~N~A - we are different from Others !!!...


No comments: