Wednesday, January 28, 2009

[RUKHSANA] Re: : ZINDAGI (Furqan Collection )

Dear Friend,
Yogesh Kashyap,

Shayri Mera Shokh Hai.
Yogesh Sahab Logh Pia To Karte Hai Maza Jab Hai Bin Piye Pia Ho,
1
Agar Yeh Baat Hai Saaqi Ke Mujhe Hosh Nahin
Hosh Itna Hai Ki Main Tujh Se Faramosh Nahyin
Main Tere Mast Nigahi Ka Bharam Rakh Loonga
Hosh Aaye Bhi To Khe Doonga Mujhe Hosh Nahin
Mastiya Khoob Umand Aai Hai Mehfil Main Abhi Abhi
Hosh Wale Bhi Pukar Uthte Hai Mujhe Hosh Nahin
Kuch In Madh Bhari Aankhon Se Pia Tha Jaan
Aaj Tak Hosh Nahin Hosh Nahin Hosh Nahin Hosh Nahin !!

main online nahin hota

1 Baat Or Khush Raha Karo
Kissi Ke Chale Jaane Se Zindagi Ruk Nahin Jaati,
Bina Piye Tanction Door Karo ! Kia Faidha Thodi Dair Ke Nasha ka
Pese Alag Barbad Sheet Alag Kharab
Mohabbat Sabko Milti Hai. Koi Paa Leta Hai, Koi Kho Deta Hai.
1 Sher Aapke Liye
Girte Hain Pair Se Phool, Uthata Hai Koi Koi
Pyaar To Sab Karte Hai, Nibhata Hai Koi Koi.

2
Hoshwalon Ko Khabar Kya
Bekhudi Kya Cheez Hai
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye
Zindagi Kya Cheez Hai
Hoshwalon Ko Khabar Kya
Bekhudi Kya Cheez Hai...
Unse Nazar Kya Milin Roshan Fizaein Ho Gayee
Hmm Hmm Hmm Hmm
Aah Haa Aah Haa Haa Haa
La La La La La La
Unse Nazar Kya Milin Roshan Fizaein Ho Gayee
Aaj Jana Pyaar Ki Jaadugari Kya Cheez Hai ..
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye ..
Zindagi Kya Cheez Hai...
Khulti Zulfon Ne Sikhayee Mausamon Ko Shayaree
Umm Hmm Hmm Hmm
Umm Hmm Hmm Hmm Hmm
La La La La La La
Khulti Zulfon Ne Sikhayee Mausamon Ko Shayaree
Jhukti Aankhon Ne Bataya Maikashi Kya Cheez Hai ..
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye ..
Zindagi Kya Cheez Hai...
Hum Labon Se Keh Na Paaye, Unse Haal-E-Dil Kabhi
Umm Hmm Hmm Hmm
La La La La La La
Umm Hmm Hmm Hmm Hmm
Hum Labon Se Keh Na Paaye, Unse Haal-E-Dil Kabhi
Aur Woh Samjhe Nahin Ye Khamoshi Kya Cheez Hai -
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye ..
Zindagi Kya Cheez Hai...
3
Wo Ada Jab Se Dikh Paai Hai
Dil Me Kuch Or Hi Samai Hai
Dil Ko Hasil Sakoo Nahin Hota
Ishq Ki Chowt Jab Se Khai Hai
Khush Rahe Hashr Tak Wo ????
Jis Ne Hasti Meri Mitai Hai
4
Khain Kisi Se Bhi Zikre Judai Na Karna
In Aankho Ko Kabhi Roshnai Na Karna
Jahan Se Ji Na Lage Tum Wahi Bichad Jana
Magar Khuda Ke Liye Be Wafai Na Karna
Hame Tumhari Zaroorat To Hai Phir Bhi
Hamare Waste Dil Se Ladai Na Karna
Jo Log Kam Hon To Kandha Zaroor Dena
Sirhane Aa Ke Magar Bhai Bhai Na Khena
5
Ab Wo Youn Be Rukhi Se Milte Hain
Jese Ek Ajnabi Se Milte Hain
Tajarba Ye Bichad Ke Tum Se Hua
Gam Hamesha Khushi Se Milte Hain
Mot Se Wo Sabaq Nahi Milte
Jo Sabaq Zindagi Se Milte Hain
Mere Dil Ke Tamam Ahesasat
Hu Ba Hu Aap He Se Milte Hain
Aap He Ne Hame Bulaya Tha
Warna Hum Kab Kisi Se Milte Hain
Inkasari Se Jo Mile ?????
Hum Usi Admi Se Milte Hain
6
Gam Jo Us Ne Diye Hain Qismat Se
Kam Nahin Hain Kisi Bhi Dolat Se
Baat Karte Hain Wo Mahabbat Ki
Pesh Aate Nahi Mohabbat Se
Aap Ne Be Rukhi Se Kiya Dekha
Aashna Ho Gaye Haqeeqat Se
Zindegi Ko Gam_E_Mohabbat Se
Wo Yaqeene Wafa Bhi Kar Lenge
Guftgu Hogi Jab Sahooliyat Se
Youn To Har Shakhs Ahele Gam Hai Magar
Kon Waqif Hai Gam Ki Azmat Se
Mujh Ko Mil Gaye Gam Zamane Ke
Tujh Ko Manga Tha Rabbul Izzat Se
Tum Ko Kiya Ilm Hai Ke Kiyo ???
Mutmaeen Hai Tumhari Nafrat Se
7
Aaj Ka Pyaar
Man Ki Aasha
Tan Ka Pyaar
Ishq Hai Ek Vyapaar
Sauda Hota Hai
Anmol Rishton Ka
Kisi Ki Chahat Ka
Kisi Ki Mohabaat Ka
Faislei Kuch Galat Hote Hai
Kisi Ki Jeet Ka
Kisi Ki Haar Ka
Khara Khota Saab
Chalta Hai Yahaan
Man Ke Is Bazaar Main
Naye Naye Saude Hote Hai
Kabhi Tan Ke To
Kabhi Bhavnao Ke
Kabhi Achayoon Ke
Kaise Chalega Kab Tak Chalega
Pyaar Ka Chalava Kab Tak Chalega
Yeh Vyapaar Kab Bandh Hoga
Aaj Pyaar Ki Keemat Kya Hai
Man Ki Aasha
Tan Ka Pyaar....
..Yehi To Hai Aaj Ka Pyaar
8
Maa>>
Maa" Ka Pyar Kismat Waloun Ko Milta Hai,>>
Maa" Se Ber Ker Or Koi Bhi Nahi,>>
Maa" Khabi Dil Se Apne Bache Ko Buddua Nahi Deti,>>
Maa'' Woh Azeem Hasti Hai Jis Ke Samne Mohabbat Or
Shafqat Apna Sir Juka Deti Hai,>>
Maa'' Ki Qader Un Se Pocho Jo Is Naymat Se Mehroom Hein,>>
Maa'' Ke Peroun Tale Janat Hai,>>
Dunia Mein Sab Se Afzel Cheez Maa" Hai.>>
9
Mohabbat>>
Mohabbat Aik Aisa Nasha Jo Danao" Or Nadano Ko Aik Hi
Tarah Mehsoos Karta Hai,>>
Mohabbat Aik Aisi Cheez Hai Jo Kisi Ko Sikhane Or
Batane Ki Nahi Hoti,>>
Mohabbat Ishq Ka Roop Dareh To Ishq Ban Jati Hai,>>
Mohabbat Khush Naseeboun Ko Milti Hai, Mohabbat Se
Insaan Mein Dard Ka Jazba Paida Hota Hai,>>
Jis Ne Mohabbat Nahi Ki Meri Nazer Mein Us Ki Zindaghi Bekaar Hai,>>
Mohabbat Mein Wafa Mangne Se Khabi Nahi Milti,
Insaan Se Mohabbat Karna Khuda Se Mohabbat Karma Hai >>
10
Kissi Ne Poocha
Kisee Nay Pocha Mohabbat Kia Hai?
Samandar Nay Kaha.... Mohabbat Samandar Key
Gehraiyo May Chepie Hoe Eik Seepe Hai..
Jiss May Chahat Jessa Anmol Moti Mojood Hai.
Baadal Nay Kaha .... Mohabbat Eik ~
Dhanak Hai . Jiss May Har Rang Nomaya Hota Hai...
Shairr Nay Kaha.... Mohabbat Eik Esse Ghazal Hai ,,
Jo Har Eik Sunay Walay Kay Dil May Uttar Te Chali Jate Hai ...
Saaz Nay Kaha .... Mohabbat Eik Essa Geet Hai ..
Jo Dil May Uttar Jata Hai ...
Malee Nay Kaha.... Mohabbat Gulshan Kay Phool Key
Woh Dilkash Khusboo Hai...
Jiss May Sara Gulshan Mehak Uttah Hai...
Ankhon Nay Kaha .... Mohabbat Ansoo Ka Samandar Hai..
Jo Kisse Kay Intezar May Khamoshi Say Behta Hai...
Dil Nay Kaha .... Mohabbat Kisse Ko Khamoshi Say
Chahay Janay Ka Naam Hai...
Kay Aakhire Waqt Bhee Izhar Na Kiya Jay...
Naseeb Nay Kaha .... Mohabbat Wala Duniya Ka
Khush Kismat Tareen Insaan Hai .. Aur Jiss Kay Dil May
Mohabbat Nahin... Woh Duniya Ka Badd Tareen Shakhs Hai...
Nafrat Nay Kaha .... Aakhiri Jeet Mohabbat Ki Hoti Hai..
11
Dikhla Ke Jhalak Roo Posh Hue
Jee Bhar Ke Nazara Ho Na Saka
Aik Baar Tera Deedaar Hua
Lykin Dubara Ho Na Saka
Tum Jitney Chupe , Roo Posh Hue
Utni Hi Mohabbat Bardhti Gai
Tum Ne To Kinara Kar Hi Lia
Humse Kinara Ho Bhi Na Saka
Toofaan Main Kashi Aan Phansi
Imdaad Kissi Ne Kuch Bhi Na Ki
Allah Bhi Hai Maalah Bhi Tha
Kishti Ko Kinara Ho Na Saka
Maloom Na Tha Anjaam Magar
Bhoole Se Mohabbat Kar Betha
Jise Dil Bhi Dia Or Jaan Bhi Di
Lykin Who Hamara Ho Na Saka
12
Kya Pyar Mein Aissa Hota Hai
Kay Jissay Dil Chahay Uss Pay Mar Janay Ko Dil Chahta Hai
Kay Uss Kay Ansoo Pi Janay Ko Dil Chahta Hai
Kay Uss Kay Har Gham Ko Mitta Daynay Ko Dil Chahta Hai,
Kay Ussko Har Paal Muskurata Hua Dekhnay Ko Dil Chahta Hai
Kay Uss Par Zindagani Lutta Daynay Ko Dil Chahta Hai
Kay Uss Ka Hath Pakar Kar Ura Lay Janay Ko Dil Chahta Hai
Kay Usski Ankhon Mein Kho Janay Ko Dil Chahta Hai
Kay Usski Pyari Pyari Baton Ko Har Paal Sun Nay Ko Dil Chahta Hai
Kay Ussko Har Khushi Daynay Ko Dil Chahta Hai
Kay Ussko Har Chot Se Mehfooz Rakhne Ko Dil Chahta Hai
Kay Usskay Rastay Mein Giray Huay Har Kantay Ko Utha Dayna Ko Dil
Chahta Hai
Kay Ussko Dil Mein Chupa Laynay Ko Dil Chahta Hai
Kay Ussko Har Paal Sapnon Mein Rakhnay Ko Dil Chahta Hai
Kya Pyar Mein Aissa Hota Hai
Kay Usski Parchayee Ko Hee Dekh Kar Dil Khush Hojata Hai,
Kay Usski Ek Nazar Se Hee Dil Ko Sukoon Ajata Hai
Kay Usska Chehra Charon Tarf Chajata Hai
Kay Usski Baat Baat Par Pyar Ajata Hai
Kay Usskee Bahon Mein Dil Mar Jana Chahta Hai,
Kay Usski Hathon Ki Rekhaon Ko Dil Badal Day Naa Chahta Hai
Kay Usskay Naseeb Mein Likhi Hua Har Gham Dil Apne Naam Karna Dayna
Chahta Hai
Kay Usski Har Khuaesh Ko Dil Pura Kar Dayna Chahta Hai
Kay Saray Jahan Ki Khushian Dil Usske Kadmon Mein Bicha Dayna Chahta
Hai,
Kya Pyar Mein Aissa Hota Hai
Kay Usske Sath Jina To Kya
Usske Sath Mar Janay Ko Dil Chahta Hai
Kya Pyar Mein Aissa Hota Hai
13
Suno Dost
Tum Jahan Bhi Jao Jahan Bhi Thehro
Chahey Zameen Ke Kisi
Aakhri Koney Ki Taraf Nikal Jao
Beshak
Humain Tum Bhool Jao
Magar
Itna Yaad Rakhna Tumharey Saarey
Hawalon Ko
Hum Zameen Ki Panah Gahon
Mein Mehfooz Rakhunga
Tumhari Saari Baaton Ko
Tumharey Sang Beetey
Lamhon'saari' Yaadon Ko
Dil K Pass Rakheinga
Suno Dost
Tumhain Hum
Yaad Rakhain Gay
Dilse Kahaa Hai
14
Chal Tujhko Geet Likhoo Par Kese Geet Likhoo
Man Mandir Man Bhawan Man Meet Likhoo
Chal Tujhko Geet Likhoo
Aankh Ko Likhoo Raag Bhervee Honth Ko Likhoo Raag Basanti
Rukhsaro Ko Likhoo Raag Manjre Lat Ko Raag Multani
Purwai Main Urein Latein To Likhoo Raag Darbaari
Mand Mand Muskay Jo To Likhoo Raag Darbari
Yani Sar Se Paon Talak Tujhko Sangeet Likhoo
Chal Tujhko Geet Likhoo
Bahar Se Tu Phool Ki Jese Pari Hai Or Sundar Hai
Bheetar Se Uper Wala Hi Jane Mom Hai Ya Pathar Hai
Kis Se Poochoo Kese Poochoo Dhoop Ya Chaya Likhoo
Is Uljhan Main Para Hua Hoo Tujhko Main Kya Likhoo
Cha Ke Tujhko Apni Haar Ya Jeet Likhoo
Chal Tujhko Geet Likhoo
Mere Kalpana Ke Kapool Pe Garm Sa Chumbhan Rakh De
Mere Pyase Sapno Ke Saanso Pe Sugandhet Sa Alingan Rakh De
Mere Man Pe Apna Man Rakh Kar Mera Man Rakh De
Jis Se Manavta Ko Ad Budreet Likhoo
Chal Tujhko Geet Likhoo
15
Aahat Se Koi Aaye Tu Lagta Hai K Tum Ho
Saya Koi Lehrae Tu Lagta Hai K Tum Ho
Jab Shakh Koi Hath Lagate Hi Chaman Main
Sharmae Lachak Jae Tu Lagta Hai K Tum Ho
Rastek Dhundlake Main Kise Moudr Per Kuch Dour
Ik Loo Si Chamak Jae Tu Lagta Hai K Tum Ho
Sandal Se Mahakti Huwe Pur Keyf Hawa Ka
Chonka Koi Takrae Tu Lagta Hai K Tum Ko
Odrhe Huwe Taroo Ki Chamakti Huwechadar
Nadi Koi Bal Khaey Tu Lagta Hai Tum Ho
Jab Raat Gaye Koi Kiran Mere Barabar Main
Chup Chap So Jae Tu Lagta Hai K Tum Ho
16
Hum Se Badal Gaya Wo Nigaahe To Kya Hua
Zinda Hai Kitne Log Mohabbat Kiye Baghair
Guzre Dino Mein Jo Kabhi Gunje The Keh Kahe
Ab Apne Ikhtiyaar Mein Wo Bhi Nahin Rahe
Kismat Mein Reh Gayi Hai Jo Aahe To Kya Hua
Sadma Ye Jhelna Hai Shikaayat Kiye Baghair
Wo Saamne Bhi Ho To Na Kholenge Hum Zubaan
Likkhi Hai Uske Chehre Pe Apni Hi Daastaan
Usko Taras Gayi Hai Ye Baahen To Kya Hua
Wo Laut Jaaye Hum Pe Inaayat Kiye Baghair
Pehle Karib Tha Koi Ab Dooriyaan Bhi Hain
Insaan Ke Naseeb Mein Majbooriyaan Bhi Hain
Apni Badal Chuka Hai Wo Raahen To Kya Hua
Hum Chup Rahenge Usko Malaamat Kiye Bahgair
17
Dekhaa Tuje, Sochaa Tujhe, Chaahaa Tuje. Pooja Tujhe
Meri Khataa ,Meri Wafaa, Teri Khataa Kuch Bhi Nahi
Maangaa Khudaa Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi
Sochaa Nahi Achaa Buraa Dekhaa Sunaa Kuch Bhi Nahi
Jis Par Humaari Aankh Ne Moti Bichaaye Raat Bhar
Bhejaa Wahi Kagaz Isse Humne Likhaa Kuch Bhi Nahi
Aankhon Se Ki Baaten Bahut , Mooh Se Kahaa Kuch Bhi Nahi
18
Din Gujar Gayaa Aitbaar Main
Raat Katt Gayi Intezaar Main
Wo Mazaa Kahaan Wasle Yaar Main
Lutf Jo Milaaa Intezaar Main
Kis Tarhaan Yeh Ghum Bhool Jaayen Humm
Wo Judaa Huaa Is Bahaar Main
Aankh Jo Uthi Unki Taraf
Dil Ulajh Gayaa Husne Khaar Main
Tujh Se Kia Kahhen Kitne Ghum Sahen
Hum Hain Bewafa Tere Pyar Main
19
Dosti Kia Hay?
Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai
Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai
Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai
Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai
Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai
Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai
Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai
Dosti Yoon Tou Maya Jaal Bhi Hai
Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai
Kabhi Furqat Kabhi Vissal Bhi Hai
Kabhi Zameen Kabhi Falak Bhi Hai
Dosti Jhoot Bhi Hai Such Bhi Hai
Dil Main Reh Jaiay Tou Kassuk Bhi Hai
Kabhi Ye Haar Kabhi Jeet Bhi Hai
Dosti Saaz Bhi Sangeet Bhi Hai
Sheir Bhi Nazam Bhi Geet Bhi Hai
Wafa Kia Hai Wafa Bhi Dosti Hai
Dil Say Nikli Dua Bhi Dosti Hai
Bus Itna Samajh Lou
Piyar Ki Inteha Bhi Dosti Hai
20
Is Dil Se Teri Yaad
Is Dil Se Teri Yaad Ko Bhulana Aasaan Nahi,
Aur Darde Dil Ko Dil Me Chupana Bhi Aasaan Nahi.
Kehta Hoon Sabse Koi Naata Nahi Mera Tumse,
Aur Apni Gazlon Se Tera Naam Mitana Bhi Aasaan Nahi.
Sochta Hoon Kyon Chup Hoon Teri Bekhabari Par,
Aur Tumhi Ko Dil Ka Haal Sunana Bhi Aasaan Nahi.
Wo Dard Bankar Meri Aankhon Me Rahti Hai,
Aur Use Palkon Se Bahana Bhi Aasaan Nahi.
Uski Yaaden Mere Daaman Me Nashtar Chubhati Hain,
Aur Duniya Me Is Daulat Ko Lutana Bhi Aasaan Nahi.
Apne Dilse Uske Pyar Ko Mitana Mushkil Hai Magar,
Aur Uske Dil Me Apni Muhabbat Jagana Bhi Aasaan Nahi
21
Meri Nigahoon
Meri Nigahoon Main
Mery Nazaroon Main
Har Ek Fasanay Main
Aur Har Kahani Main
Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
Main Chahon Jis Ko
Main Mangon Jis Ko
Main Paoon Jis Ko
Main Haaron Jis Ko
Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
Mere Hansnay Main
Mere Roonay Main
Mere Jagnay Aur Soonay Main
Tum Hi Tum Ho Jahan Bhi Dekhon
Jahan Bhi Jis Rastay Per Main Jaoon
Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
Tera Wo Milna
Tera Wo Khona
Tera Wo Aana
Tera Wo Jana
Wo Mil Kar Ek Baar Phir Bicharna
Har Ek Nagar Main, Har Ek Safar Main
Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
Meri Nazar Main Nazara Ban Ke
Mere Labon Pe Fasana Ban Ke
Aur In Ragon Main Lahoo Ban Ke
Meri Neendon Main Khwaab Ban Ke
Mere Dil Mein Dilse Ban Ke Sirf ???
Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
22
Mere Saaye Ka Na Peecha Karna,
Abr Ka Tukda Hoon,Kya Jaane Kidhar Jaaunga.
Mere Shahar Me Kabhi Tum Aao To Sanam,
Phoolon Ki Tarah Teri Raahon Me Bikhar Jaaunga.
Khuda Ki Na Sahi,Teri Hi Nazre Karam Ho To,
Teri Zulfon Ki Tarah Khud Aap Sawar Jaaunga.
Tujhe Bhoolne Ka Vaada Na Kar Paaunga Sanam,
Tu Hi Nazar Aayegi,Main Chahe Jidhar Jaaunga.
Pyase Sehra Me Jo Tere Pyar Ki Baarish Ho Jaaye,
Gulabon Ki Manind Fir Ik Baar Nikhar Jaaunga.
Kabhi Hum Se Dil Bhar Jaaye To Shauk Se Bata Dena,
Tera Pyar Dil Me Liye Chup-Chaap Guzar Jaaunga
23
"Koi Hum Sey Pochey"
Tanhaiyon Ka Zehar Peena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kisi Ki Yadoon Main Khoyey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kabhi Akelay Main Apnay Aap Hi Hans Dena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kabhi Tanha Bethay Bethay Khud Hi Rolena Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kissi K Intizar Ki Bechaini Main Taraptey Rehna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Yeh Jaan Kar Bhi K Aanay Wala Aye Ga Nahin
Us Ki Rahoon Main Palken Bichaey Baithna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Neend To Ankhon Se Koson Meel Door Hai
Yeh Soch Ker Raton Ko Tarey Ginna Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey
Kiya Pata Agli Subha "Un" Ka Deedar Naseeb Ho
Yeh Sooch Ker Khuda Sey Dua Mangtey Rehna
K Abhi Din Ka Ujala Ho Jaey Kesa Lagta Hai
Koi Hum Sey Pochey....!!!
24
Pyaar Ki Haqeeqat
Koi Poochay Is Duniya Say Yeh Pyaar Kya Hota Hai,
Yeh Ishq, Mohabbat Kya Khumar Hota Hai.
Kyun Kisi Say Itna Pyaar Hota Hai,
Dil Kyun Har Waqt Bayqarar Hota Hai.
Ruswaiy Hi Kyun Miltey Hai,
Kyun Nahein Dil Ki Kali Khilti Hai.
Bawafai Hi Kyun Badla Mein Miltey Hai,
Doosroon Ki Baanchain Hi Kyun Khiltey Hai.
Aik Jawab Meri Samajh Mein Aata Hai,
Yeh Pyaar, Mohabbat, Ishq Sub Bayqar Hota.
Kya Karein Aisay Ishq Kai , Jis Ka Bhairha Paar Hi Nahi Hota,
Kya Karein Aisay Pyaar Ka Jo Dil Per Chootain Lagata Hai,
Kya Karein Aisey Mohabbat Ka Jo Neend Hi Lay Jatey Hai.
25
Do Ashq Meri Yaad Mein Bahaa Jaate To Kya Jaata
Chand Kaliyaan Laash Par Bichaa Jaate To Kya Jaata
Aaye Ho Mayyat Par Sanam Oodh Kar Naqaab Tum
Agar Ye Chaand Ka Tukda Dikhaa Jaate To Kya Jaata
Poochte The Log Tumse Kiska Hai Janaazaa Yeh
Marne Waala Kaun Tha Bataa Jaate To Kya Jaata
Sabke Saamne Merii Ulfat Ko Ruswaa Kar Diyaa
Nazar Ki Talkhii_Yaan ,Chupaa Jaate To Kya Jaata
Har Zakhm Ne Mere Tumhe Diin Hain Duaayen Umr Bhar
Haye, Ik Baar Seene Se Lagaa Jaate To Kya Jaata
Tumko Yaad Karte-Karte Jaan De Di "Maikash" Ne
Ikk Chiraag Hi Mazaar Par Jalaa Jaate To Kya Jaata
26
-:- Mohabbat Tum Nay Kab Ki Hai -:-
Mohabbat Tu Main Nay Ki...
Tum Nay Bas Mujh Ko Tarpaana Thaa
Aur Mujhay Ko Tarapna Thaa
Tum Nay Tu Bas Mujh Ko Pagal Karna Thaa
Aur Mujhay Pagal Hona Thaa
Mohabbat Tum Nay Kab Ki Hai
Mohabbat Tu Main Nay Ki Hai
Tum Nay Bas Apnay Paon Ki Khak Ki Tarha
Mujh Ko Jhar Dala
Aur Main Khizan Kay Uss Paaty Ki Tarha
Jhar Gaya Jis Ka Koi
Humsafar Bhi Nahi Hai
Mohabbat Tum Nay Kab Ki Hai
Mohabbat Tu Main Nay Ki Hai
Tum Nay Tu Bas Dewana Banana Thaa
Aur Meray Dil Ko Awara Badal Banana Thaa
Mohabbat Tum Nay Kab Ki Hai Jana
Mohabbat Tu Main Nay Ki Hai
27
Is Hasrat Se Mila Kya Mujhko
Ik Jhalak Mere Dildaar Ki
Is Muhabbat Se Mila Kya Mujhko
Bechaini-O-Beqarari Yaar Ki,
Is Ashiqui Se Mila Kya Mujhko
Ik Sunahari Raah Ishq Ki,
Aur Tere Pyaar Se Mila Kya Mujhko
Ik Raah Jeene Ki Hamvaar Si.
Na Jee Bhar Ke Dekhaa Na Kuch Baat Ki,
Badi Aarzoo Thi Mulaqaat Ki,
Kaye Saal Se Kuch Khabar Hi Nahin,
Kahaan Din Guzaaraa Kahaan Raat Di,
Main Chup Tha Tou Chalti Hawa Ruk Gayi,
Zubaan Sab Samajhte Hain Jazbaat Ki,
Sitaaron Ko Shaayad Khabar Hi Nahin,
Musaafir Ne Jaane Kahaan Raat Ki...

28
Ek Waqt Tha Jab Hum Yeh Socha Karte The
Yeh Ishq Kya Hota Hai
Yeh Dillagi Kya Hoti Hai
Yeh Dil Ka Tootna Kya Hota Hai
Yeh Tadapna Kya Hota Hai
Aur Ab Waqt Hai Jab Hum Samajh Chuke Hain Ki
Yeh Ishq Kya Hota Hai
Yeh Dillagi Kya Hoti Hai
Yeh Dil Ka Tootna Kya Hota Hai
Yeh Tadapna Kya Hota Hai
29
Yeh Zaroori To Nahi
Yeh Kya Haal Banaliya Hai Tumne Apna
Ab Os Ka Haal Bhi Tumhare Jaisa Ho
Yeh Zaroori To Nahi
Haari Hai Tumne Bazi Mohabbat Ki
Zindagi Ki Bazi Bhi Haar Jao
Yeh Zaroori To Nahi
Is Pal Mohabbat Par Bohot Naaz Hai Tum Ko
Ab Har Pal Yehi Dohrao
Yeh Zaroori To Nahi
Zinda Reh Kar Bhi Rasm-E-Mohabbat Ada Hosakti Hai
Ab Mar Kar Hi Yeh Rasam Nibhaou
Yeh Zaroori To Nahi
Kabhi Kisi Se Mohabbat Na Karna
Aisi Naseehat Matt Diya Kar Mujhe
Jo Tere Saath Howa, Who Mere Saath Bhi Ho
Yeh Zaroori To Nahi
Zindagi Ke Safar Mai,
Har Mosaafir Khowaab Dekhta Hai
Ab Tabassom Tera Bhi Khowaab Poora Ho
Yeh Zaroori To Nahi
30
Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta
Waqt Se Maango To Hisaab Nahin Milta
Hasino Se Maango To, Piyar Nahi Milta
Binaa Husn Ke Ishq Ka, Khitaab Nahi Milta
Dil To Miltey Hai,Dil-E-Betaab Nahi Miltaa
Andhero Main Jo Nikley,Vo Aaftaab Nahi Milta
Gam-E- Ishq Choopane Ko Nakaab Nahi Milta
Raat To Ho Jati Hai, Magar Khuwaab Nahi Milta
Dost Mil Jaatey Hai, To Umair Nahi Milti
Anjaam Mil Jaatey Hai, To Aagaaz Nahi Milta
31
Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He
Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyar Mila He
Guzar Rahi Hey Zindagi Imtehan Ke Daur Se
Ek Khatam Howa Tou Dosra Tayar Mila He
Mere Damaan Ko Khushiyo Ka Nahi Malaal
Gham Ka Khazana Jo Isko Beshumar Mila He
Who Kamnasib Hein Jinhe Mehboob Mil
Mein Khushnasib Ho Mujhe Intezar Mil
Gham Nahi Mujhe Ke Dushma Howa Yeh Zamana
Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hey
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala Kaiseyde Diya
Mujhe Tou Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila Hey
32
Ek Jurm Hay Mohabbat
Jo Main Ne Kya Hay
Ek Ghalti Hay Mohabbat
Jo Mujh Se Hooi Hay
Ek Dard Hay Mohabbat
Jo Mujhay Hooa Hay
Ek Ehsaas Hay Mohabbat
Jo Main Ne Mehsoos Kia Hay
Ek Jazba Hay Mohabbat
Jo Meray Andar Hay
Ek Bhool Hay Mohabbat
Jo Main Ne Ki Hay
Ek Phool Hay Mohabbat
Jo Main Ne Khilaya Hay
Aur Iss Ki Khushboo Main
Charon Taraf Bakhair Doon Ga...!!!
33
Bholna Itnaa Asan Nahi
"Ke Main Tujhay Bhool Jaon
Aaj Phir Dil Bohat Ghabraya
Maiany Usko Ye Samjhaya
Ke Bholna Itnaa Asan Nahi
Tu Ager Dil Ki Dhadken Hota
Tou Mera Dil Dhadkna Bhool Jata
Tu Ager Sanso Main Ji Raha Hota
Tu Sansoo Ki Dour Tou Hoti Hi Kachi Hay
Tu Ager Khayalon Ka Markaz Hota
Tou Main Hosh-O- Khird Say Baygana Hota
Mager Afsos
Tu Tou Meri Rooh Ka Hamzaad Hay
Us Main Azal Say Layker Abd Tak Abaad Hay
Or Rohh Kabhi Fana Hoti Nahi
Kabhi Miti Main Ja Ker Soti Nahi
Kabhi Dil Ki Taraha Roti Nahi
Sans Ki Dor Ki Taaraha Kachi Hoti Nahi
Jab Rooh Say Talaq Toot Sakta Nahi
Or Khuda Bhi Usko Bhool Sakta Nahi
Tou Ayay Qarar-E- Dil
Aaj Tu Itna Jaan Lay K
Bhollna Itna Aasaan Tou Nahi
34
Zindagi Mein Kuchh Lamhaey Aisay Aatey Hain
Har Cheez Dhundla Jati Hae Sirf Khvaab Nazar Atey Hain
Khvaab Hi Tu Hain Jo Hamesha Saath Rehtey Hain
Woh Janey Kaha Gaye Ab Tu Bas Un Ki Yadaien Hain
Unn Sae Mil Ke Phir Yeh Ehsaas Honey Lagaa
Wohi Ek Bas Apney Han Baqi Sab Tu Paraaye Hain
Unn Ki Yeh Adda Hii Saab Sae Ziaadaa Bha Gai
Jab Bhi Hum Un Ko Dehktey Hain Woh Sharma Jatey Hain
Hum Ne Kabhi Bhi Unse Koi Gila Na Kia
Phir Bhi Woh Humey Har Waqt Sataatey Hain
Kuch Aysa Rishta Tha Merey Un Ke Darmiyaa
Jaise Do Panchi Milttay Hain Phir Bichrr Jatey Hain
Hir Haal Mae Hum Ne Kosshish Ki Bhoolany Ki
Lekin Phir Bhi Us Ajnabi Ke Saaye Nazar Atey Hain
Humary Saath Ab Ziaadaa Kuch Tu Nahi Hae
Bas Hae Ye Chandni Raat Aur Kuch Sitaarey Hain
35
Bhool Ker Bhi Bhula Nahi Sakte
Aur Hum Tujh Ko Paa Nahi Sakte
Khud Pe Ilzaam Dhar Liya Hum Ne
Tujh Pe Tohmat Laga Nahi Sakte
Dil Pe Likha Hai Yun Tera Naam
Chah Ker Bhi Mita Nahi Sakte
Us Ne Duniya Bhula Ker Rakh Di Hai
Hum To Lab Bhi Hila Nahi Sakte
Bhool Jaate Hain Roz Woh Yeh Keh Ker
Hum Tum Ko Bhula Nahi Sakte
Bhool Ker Bhi Bhula Nahi Sakte
Aur Hum Tujh Ko Paa Nahi Sakte
Khud Pe Ilzaam Dhar Liya Hum Ne
Tujh Pe Tohmat Laga Nahi Sakte
Dil Pe Likha Hai Yun Tera Naam
Chah Ker Bhi Mita Nahi Sakte
Us Ne Duniya Bhula Ker Rakh Di Hai
Hum To Lab Bhi Hila Nahi Sakte
Bhool Jaate Hain Roz Woh Yeh Keh Ker
Hum Tum Ko Bhula Nahi Sakte
36
"Phir Na Dena Sada Humko
"Phir Na Dena Sada Humko
Phir Na Loat K Aaiengey Hum
Phir Na Kehna Bewfa Humko
Ye Aur Baat Hey K Ek Baar Nahi So Baar
So Bar Nahi Bar Bar
Tera Naam Lene Se Milti Hey Shafa Humko
Phir Na Dena Sada Humko
Phir Na Loat K Aaiengey Hum
Yeh Waqt Bhi Bara Zalim Hey
Na Iss Ke Paas
Dil Hey
Na Aankh
Na Aansoo
Na Ehsaas
Iss Toofan Main Bikhar Jaiengey Hum
Phir Na Sametna Humko
Phir Na Dena Sada Humko.....
37
Mayoos Mat Hona Yeh Aik Gunnah Hota Hai
Milta Wahi Hai Jo Qismat Main Likha Hota Hai
Har Cheez Miley Humain Yeh Zaroori Tou Nahi
Kuch Cheezon Ka Zikar Doosre Jahan Main Hota Hai
Jo Khud Ko Kostey Hain Woh Shayed Bekhabar Hain
Kuch Paalene Ka Ikhtiyar Khud Pe Bhi Hota Hai
Har Aik Ko Barsar-E-Ilzam Kiun Thehrayein Hum
Apne Samne Bhi Tou Aik Ayeena Hota Hai
Hum Apni Zindagi Se Kiun Haar Jayein
Gar Doobta Hai Sooraj Tou Kal Tuloo Bhi Tou Hota Hai
Kaash Kay Aisa Ho Jaye!
Kisi Qadam Par Mehsoos Na Ho Kami Meri
Kisi Maqam Per Mujh Ko Yaad Na Karo Tum
Khushiyo May Aisay Apni Magan Raho
Kabhi Mazi Kay Warq Na Palto Tum
Magar Yeh Bhi Yaad Rakhna!
Agar Kisi Manzil Per Pahaunch Kar Koi Dard Mil Jaye
Aankh Tumhari Jo Kabhi Pur Nam Ho Jaye
Kabhi Kisi Apnay Ki Kami Mehsoos Karo To
To Tum Mujhay Pukar Laina
Aur Agar Yeh Bhi Na Kar Pao To!
Dil Ko Apnay Simayt Laina
Aur Bas Yaad Mujhay Tum Kar Laina
Aankho Kay Duwaro Ko Band Kar Laina
Mehsoos Mujhay Tum Kar Laina
Aur Phir Yun Karna Kay!
Saray Raaz Apnay Dil Kay
Tum Mujh Say Keh Laina
Saray Dard Apnay Dil Kay
Tum Mujh Say Baant Laina
Bas Meri Ek Aakhri Khuwaish Yaad Rakhna!
Jab Meri Hayat Ka Safar Tamam Honay Lagay
Meray Qadam Meri Akhri Manzil Ki Taraf Rawan Honay Lagay
Mujhay Lahayd Tak Lay Janay Walay Chaar Apnay Kandho May
Ek Kanhdha Tumhara Bhi Ho!
38
Mere Aansoo
Suna Hoga Bohat Tum Nay ....
Kahin Aankhon Ki Rim Jhim Ka
Kahin Palkon Ki Shabnam Ka...
Parha Hoga Bohat Tum Nay ....
Kahin Lehjay Ki Barish Ka
Kahin Sagar Kay Aansoo Ka...
Magar Tum Nay ,
Kabhi Humdam ...
Kahin Daikhay ?
Kahin Parkhaay ?
Kisi Tehreer Kay Aansoo ??...!!
Mujhay Tairee Judaai Nay ...
Yahi Mairaaj Bakhshi Hai...
Kay Main Jo Lafz Likhta Hoon ...
Woh Saray Lafzz Rotay Hain
Kay Main Jo Harf Banta Hoon ...
Woh Saray Baiin Kartay Hain
Mairay Sang Is Judaai Main ...
Mere Alfaaz Martay Hain
Sabhi Tareef Kartay Hain ...
Meri Tehreer Ki Lekin...
Kabhi Koi Nahin Sunta ...
Mairay Alfaaz Ki Siskee...
Falak Bhi Jo Hila Daalay...
Mere Lafzon Main Hain Shamil ...
Ussi Taseer Kay Aansoo...
Kabhi Daikho Mairay Humdam...
Mairaee Tehreer Kay Aansoo..!!!! !!!!!
Mairaee Tehreer Kay Aansoo..!!!! !!!!!
39
Un Ke Bina Ab Chup Chap Rehna Acha Lagta Hai,
Khamoshi Sey Dard Ko Sehna Acha Lagta Hai,
Jis Hasti Ke Yaad Mein Aanso Barstey Hain,
Samne Unke Kuch Naa Kehna Acha Lagta Hai,
Mil Kar Os Se Bichar Naa Jaaon Darte Rehthi Hon,
Is Liye Bas Door Hi Rehna Acha Lagta Hai,
Janthi Hon Ke Chahat Mein Bas Aanso Milte Hain,
Kuch Bhi Ho Ab Is Zehar Ko Peena Acha Lagta Hai,
Je Chahey Sab Khushiyan Laa Kar Unko De Doon,
Unke Pyaar Mein Sab Kuch Khona Acha Lagta Hai,
Unka Milna Naa Milna Qismat Ki Baat Hai,
Pal Pal Unki Yaad Mein Roona Acha Lagta Hai,
Unke Bina Sab Khushiyan Ajeeb Si Lagti Hain,
Roo Roo Kar Unki Yaad Mein Sona Acha Lagta Hai

Yogesh Kashyap, ummed karta hoon apako yeh collection pasand ayegi

Furqan


__._,_.___
       Rukhsana group*. * . * . * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
                  *. * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
            *. * .*_/\_ *. * . * . * . * . * . * . * . * .*
                 .•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
                             (¸.•´ (¸.•` *
                              '...**,''',...

     Friendship is a collection of hearts, ready 2 give, share and
   understand. It never fades & never ends. It only reminds us that
                 life is not perfect without a friend
                             '...**,''',...
                             (¸.•´ (¸.•` *
                  ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
                   *. * .*_/\_ *. * . * . * . * . * . * . * . * .*
                       *. * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
                   *. * . * . * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
                              _./'\._¸¸.•¤**¤•.¸.•¤**¤•..
                                      *•. .•* *
                             /.•*•.\ ¸..•¤**¤•.,.•¤**¤•.*.
                        *************************************

                        Enjoy your stay at Rukhsana Group.

                        Moderators Rukhsana Group:
                        Aika Rani,Mumtaz and Sitara

                   Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
                   Rukhsana-owner@yahoogroups.com                        
Recent Activity
Visit Your Group
10 Day Club

on Yahoo! Groups

Share the benefits

of a high fiber diet.

Y! Messenger

Want a quick chat?

Chat over IM with

group members.

Group Charity

City Year

Young people who

change the world

.

__,_._,___

No comments: