Sunday, February 1, 2009

[RUKHSANA] Re: ZINDAGI (Furqan Collection )

Sitara Baji,
 
Itne kum lafz aur itnee badee baat keh dee aap ne!!!
 
Kiran


*.·´*`·.·* Sitara *·.·´*`·.* <sitara700@yahoo.com> wrote:

 
TUMHAARA DIL KABHI PIGHLE AGAR ''GHAM'' KI HARARAT SE,
TUMHEN MAALOOM HO JAAYE GA K ''KHONA'' KIS KO KEHTE HAIN.



--- On Sun, 2/1/09, offhfo <offhfo@yahoo.com> wrote:
From: offhfo <offhfo@yahoo.com>
Subject: [RUKHSANA] Re: ZINDAGI (Furqan Collection )
To: Rukhsana@yahoogroups.com
Date: Sunday, February 1, 2009, 12:08 PM


Sitara Jee waha waha  kia Baat hai
Kabhi kabhi hum jalatay hain
Umeedon k chiraagh
Uss shakhs k liye
Jo hamain mayoos kar chuka hota hai
Lekin agar hum apnay paas ye
Umeed na rakhain k woh lout kar aaye ga
To shayad hum bikhar jain
Toot jain or koi hamain sahara na de sakay
Kya hum har dafa batoon se behal jatay hain
Nahi balkay behla diye jatay hain
Kyon k hum insaan hain
Khata kartay hain phir uss ka madawa bhi kartay hain
Magar ...
Madawa karnay k baad phir khata kar jatay hain
Or maloom nahi kab tak umeed k woh chiraagh jalain
Kahin aisa na ho
Aik din woh bhi bujh jain
Or hum tanha ...tootay
Or bikhray huay reh jain
Akailay ............. ......... ........
--- In Rukhsana@yahoogroup s.com, *.·´*`·.·* Sitara *·.·´*`·.* <sitara700@.. .> wrote:
>
>
> Thank You jee par hum to aage kuch bhi nhi
>  
> iToote Hue Khawabon Mein Haqiqat Dhundthii Hoon
> Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundthii Hoon
>
> Naadan Hoon Mein Abb Tak Yeh Bhi Nahin Samjhe
> Bejaan Buton Mein Ibaadat Dhundthii Hoon
>
> Mere Jazbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin
> Beimaani Ke Baazaron Mein Sharafat Dhundthii Hoon
>
> Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin
> Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundthii Hoon
>
> Umeed Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri
> Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundthii Hoon
>
>
>  
>
>
> --- On Fri, 1/30/09, offhfo offhfo@... wrote:
>
> From: offhfo offhfo@...
> Subject: [RUKHSANA] Re: ZINDAGI (Furqan Collection )
> To: Rukhsana@yahoogroup s.com
> Date: Friday, January 30, 2009, 11:42 AM
>
>
>
>
>
>
>
>
> Hello
> Sitara jee kese hai aap aapki poetry bhi lajawab hoti hai
> Yougesh sahab kese ho aap,
> Sitara jee Mulhaiza farmaiye
> KALAM RUKTA NAHI
> Tum meri yaad ho mere pass ao tou koi baat bane
> Tum meri jaan ho yoon zindagi mein ao tou koi baat bane
> Tumhari yaad mein guzra har lamha mere din ko mehkata hai
> Khushboo banke meri sanson ko mehkao tou koi baat bane 
> Mein duniya ki nahi karti parwah tumko jab yaad karti hoon
> Kabhi tum bhi ruswayion ko gale se lagao tou koi baaat bane 
> Raqeebon ko tumhare bare mein yoon batana accha nahi lagta
> Kabhi khud bhi aao mere haal pe hans jao tou koi baat bane 
> Kabhi roothi nahi hoon tumse mein iss tarhan se ke
> Mein tumse rooth jaoon aur tum mujhko manao tou koi baat abne 
> Humesha khuda se hi tumko manga hai sham-o-seher
> Dua ko haath uthayein saamne tumhe payein tou koi baat bane 
> Qalam rukta nahai hai yaad ka darya beh jata hai
> Kabhi tum bhi iss mein do
>  
> Furqan
> --- In Rukhsana@yahoogroup s.com, *.·´*`·..·* Sitara *·.·´*`·.* sitara700@ .> wrote:
> >
> > Kya baat hai Furqan jeee
> > bahout khub jee kya entry ki hai aap ne dobara se group me
> > lo yeh banda to aap par fida hogaya
> > Yogesh Kashyap jee aap apni font size zara badi karo jee
> >  
> > Furqan jee hum bhi kuch arz kar rahe hai
> > Yagoesh jee aap bhi gor frmaiye ga
> >  
> > Mohabat Khas Logon K Liyeh
> >
> > Ek Khas Tofa Hy
> >
> > Agar Yeh Gul Ki Surat Hy
> >
> > To Narmahat Kali Ki Hy
> >
> > Hy Chanda Ki Jhalak Es Main
> >
> > Sitaron Ki Chamak B Hy
> >
> > Kabi Suraj Ki Ghermi Si
> >
> > Mohabat Khas Logon K Liyeh
> >
> > Ek Khas Tofa Hy
> >  
> >
> >  
> >
> >
> > --- On Thu, 1/29/09, Yogesh Kashyap kashyapyogesh32@ ... wrote:
> >
> > From: Yogesh Kashyap kashyapyogesh32@ ...
> > Subject: [RUKHSANA] Re: ZINDAGI (Furqan Collection )
> > To: "Our Group" Rukhsana@yahoogroup s.com
> > Date: Thursday, January 29, 2009, 2:55 AM
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> >
> > Dear
> > Yaar bahut katilna shyari hai
> > main puri raat soya nahin ye shyari padh kar
> > mare dil ko bahut jaldi samjh liya
> > ye kase kiya
> > call me and your Contact Number
> > My Number is
> > 9871766760
> > STD Lage to mat karna par apna Number Dena mat bhulna kyoki log aksar bhoul jate hain
> > Main apko Contact kar longa
> > OK
> > Thank uuuuuuuuuuuuu
> > GOOD AFTER NOON
> >
> >  
> >
> >
> >
> >
> > From: offhfo offhfo@yahoo. com>
> > To: Rukhsana@yahoogroup s.com
> > Sent: Wednesday, January 28, 2009 3:05:54 PM
> > Subject: [RUKHSANA] Re: : ZINDAGI (Furqan Collection )
> >
> >
> >
> > Dear Friend,
> > Yogesh Kashyap,
> >
> > Shayri Mera Shokh Hai.
> > Yogesh Sahab Logh Pia To Karte Hai Maza Jab Hai Bin Piye Pia Ho,
> > 1
> > Agar Yeh Baat Hai Saaqi Ke Mujhe Hosh Nahin
> > Hosh Itna Hai Ki Main Tujh Se Faramosh Nahyin
> > Main Tere Mast Nigahi Ka Bharam Rakh Loonga
> > Hosh Aaye Bhi To Khe Doonga Mujhe Hosh Nahin
> > Mastiya Khoob Umand Aai Hai Mehfil Main Abhi Abhi
> > Hosh Wale Bhi Pukar Uthte Hai Mujhe Hosh Nahin
> > Kuch In Madh Bhari Aankhon Se Pia Tha Jaan
> > Aaj Tak Hosh Nahin Hosh Nahin Hosh Nahin Hosh Nahin !!
> >
> > main online nahin hota
> >
> > 1 Baat Or Khush Raha Karo
> > Kissi Ke Chale Jaane Se Zindagi Ruk Nahin Jaati,
> > Bina Piye Tanction Door Karo ! Kia Faidha Thodi Dair Ke Nasha ka
> > Pese Alag Barbad Sheet Alag Kharab
> > Mohabbat Sabko Milti Hai. Koi Paa Leta Hai, Koi Kho Deta Hai.
> > 1 Sher Aapke Liye
> > Girte Hain Pair Se Phool, Uthata Hai Koi Koi
> > Pyaar To Sab Karte Hai, Nibhata Hai Koi Koi.
> >
> > 2
> > Hoshwalon Ko Khabar Kya
> > Bekhudi Kya Cheez Hai
> > Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye
> > Zindagi Kya Cheez Hai
> > Hoshwalon Ko Khabar Kya
> > Bekhudi Kya Cheez Hai...
> > Unse Nazar Kya Milin Roshan Fizaein Ho Gayee
> > Hmm Hmm Hmm Hmm
> > Aah Haa Aah Haa Haa Haa
> > La La La La La La
> > Unse Nazar Kya Milin Roshan Fizaein Ho Gayee
> > Aaj Jana Pyaar Ki Jaadugari Kya Cheez Hai ..
> > Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye ..
> > Zindagi Kya Cheez Hai...
> > Khulti Zulfon Ne Sikhayee Mausamon Ko Shayaree
> > Umm Hmm Hmm Hmm
> > Umm Hmm Hmm Hmm Hmm
> > La La La La La La
> > Khulti Zulfon Ne Sikhayee Mausamon Ko Shayaree
> > Jhukti Aankhon Ne Bataya Maikashi Kya Cheez Hai ..
> > Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye ..
> > Zindagi Kya Cheez Hai...
> > Hum Labon Se Keh Na Paaye, Unse Haal-E-Dil Kabhi
> > Umm Hmm Hmm Hmm
> > La La La La La La
> > Umm Hmm Hmm Hmm Hmm
> > Hum Labon Se Keh Na Paaye, Unse Haal-E-Dil Kabhi
> > Aur Woh Samjhe Nahin Ye Khamoshi Kya Cheez Hai -
> > Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye ..
> > Zindagi Kya Cheez Hai...
> > 3
> > Wo Ada Jab Se Dikh Paai Hai
> > Dil Me Kuch Or Hi Samai Hai
> > Dil Ko Hasil Sakoo Nahin Hota
> > Ishq Ki Chowt Jab Se Khai Hai
> > Khush Rahe Hashr Tak Wo ????
> > Jis Ne Hasti Meri Mitai Hai
> > 4
> > Khain Kisi Se Bhi Zikre Judai Na Karna
> > In Aankho Ko Kabhi Roshnai Na Karna
> > Jahan Se Ji Na Lage Tum Wahi Bichad Jana
> > Magar Khuda Ke Liye Be Wafai Na Karna
> > Hame Tumhari Zaroorat To Hai Phir Bhi
> > Hamare Waste Dil Se Ladai Na Karna
> > Jo Log Kam Hon To Kandha Zaroor Dena
> > Sirhane Aa Ke Magar Bhai Bhai Na Khena
> > 5
> > Ab Wo Youn Be Rukhi Se Milte Hain
> > Jese Ek Ajnabi Se Milte Hain
> > Tajarba Ye Bichad Ke Tum Se Hua
> > Gam Hamesha Khushi Se Milte Hain
> > Mot Se Wo Sabaq Nahi Milte
> > Jo Sabaq Zindagi Se Milte Hain
> > Mere Dil Ke Tamam Ahesasat
> > Hu Ba Hu Aap He Se Milte Hain
> > Aap He Ne Hame Bulaya Tha
> > Warna Hum Kab Kisi Se Milte Hain
> > Inkasari Se Jo Mile ?????
> > Hum Usi Admi Se Milte Hain
> > 6
> > Gam Jo Us Ne Diye Hain Qismat Se
> > Kam Nahin Hain Kisi Bhi Dolat Se
> > Baat Karte Hain Wo Mahabbat Ki
> > Pesh Aate Nahi Mohabbat Se
> > Aap Ne Be Rukhi Se Kiya Dekha
> > Aashna Ho Gaye Haqeeqat Se
> > Zindegi Ko Gam_E_Mohabbat Se
> > Wo Yaqeene Wafa Bhi Kar Lenge
> > Guftgu Hogi Jab Sahooliyat Se
> > Youn To Har Shakhs Ahele Gam Hai Magar
> > Kon Waqif Hai Gam Ki Azmat Se
> > Mujh Ko Mil Gaye Gam Zamane Ke
> > Tujh Ko Manga Tha Rabbul Izzat Se
> > Tum Ko Kiya Ilm Hai Ke Kiyo ???
> > Mutmaeen Hai Tumhari Nafrat Se
> > 7
> > Aaj Ka Pyaar
> > Man Ki Aasha
> > Tan Ka Pyaar
> > Ishq Hai Ek Vyapaar
> > Sauda Hota Hai
> > Anmol Rishton Ka
> > Kisi Ki Chahat Ka
> > Kisi Ki Mohabaat Ka
> > Faislei Kuch Galat Hote Hai
> > Kisi Ki Jeet Ka
> > Kisi Ki Haar Ka
> > Khara Khota Saab
> > Chalta Hai Yahaan
> > Man Ke Is Bazaar Main
> > Naye Naye Saude Hote Hai
> > Kabhi Tan Ke To
> > Kabhi Bhavnao Ke
> > Kabhi Achayoon Ke
> > Kaise Chalega Kab Tak Chalega
> > Pyaar Ka Chalava Kab Tak Chalega
> > Yeh Vyapaar Kab Bandh Hoga
> > Aaj Pyaar Ki Keemat Kya Hai
> > Man Ki Aasha
> > Tan Ka Pyaar....
> > ...Yehi To Hai Aaj Ka Pyaar
> > 8
> > Maa>>
> > Maa" Ka Pyar Kismat Waloun Ko Milta Hai,>>
> > Maa" Se Ber Ker Or Koi Bhi Nahi,>>
> > Maa" Khabi Dil Se Apne Bache Ko Buddua Nahi Deti,>>
> > Maa'' Woh Azeem Hasti Hai Jis Ke Samne Mohabbat Or
> > Shafqat Apna Sir Juka Deti Hai,>>
> > Maa'' Ki Qader Un Se Pocho Jo Is Naymat Se Mehroom Hein,>>
> > Maa'' Ke Peroun Tale Janat Hai,>>
> > Dunia Mein Sab Se Afzel Cheez Maa" Hai.>>
> > 9
> > Mohabbat>>
> > Mohabbat Aik Aisa Nasha Jo Danao" Or Nadano Ko Aik Hi
> > Tarah Mehsoos Karta Hai,>>
> > Mohabbat Aik Aisi Cheez Hai Jo Kisi Ko Sikhane Or
> > Batane Ki Nahi Hoti,>>
> > Mohabbat Ishq Ka Roop Dareh To Ishq Ban Jati Hai,>>
> > Mohabbat Khush Naseeboun Ko Milti Hai, Mohabbat Se
> > Insaan Mein Dard Ka Jazba Paida Hota Hai,>>
> > Jis Ne Mohabbat Nahi Ki Meri Nazer Mein Us Ki Zindaghi Bekaar Hai,>>
> > Mohabbat Mein Wafa Mangne Se Khabi Nahi Milti,
> > Insaan Se Mohabbat Karna Khuda Se Mohabbat Karma Hai >>
> > 10
> > Kissi Ne Poocha
> > Kisee Nay Pocha Mohabbat Kia Hai?
> > Samandar Nay Kaha.... Mohabbat Samandar Key
> > Gehraiyo May Chepie Hoe Eik Seepe Hai..
> > Jiss May Chahat Jessa Anmol Moti Mojood Hai.
> > Baadal Nay Kaha .... Mohabbat Eik ~
> > Dhanak Hai . Jiss May Har Rang Nomaya Hota Hai...
> > Shairr Nay Kaha.... Mohabbat Eik Esse Ghazal Hai ,,
> > Jo Har Eik Sunay Walay Kay Dil May Uttar Te Chali Jate Hai ...
> > Saaz Nay Kaha .... Mohabbat Eik Essa Geet Hai ..
> > Jo Dil May Uttar Jata Hai ...
> > Malee Nay Kaha.... Mohabbat Gulshan Kay Phool Key
> > Woh Dilkash Khusboo Hai...
> > Jiss May Sara Gulshan Mehak Uttah Hai...
> > Ankhon Nay Kaha .... Mohabbat Ansoo Ka Samandar Hai..
> > Jo Kisse Kay Intezar May Khamoshi Say Behta Hai...
> > Dil Nay Kaha .... Mohabbat Kisse Ko Khamoshi Say
> > Chahay Janay Ka Naam Hai...
> > Kay Aakhire Waqt Bhee Izhar Na Kiya Jay...
> > Naseeb Nay Kaha .... Mohabbat Wala Duniya Ka
> > Khush Kismat Tareen Insaan Hai .. Aur Jiss Kay Dil May
> > Mohabbat Nahin... Woh Duniya Ka Badd Tareen Shakhs Hai...
> > Nafrat Nay Kaha .... Aakhiri Jeet Mohabbat Ki Hoti Hai..
> > 11
> > Dikhla Ke Jhalak Roo Posh Hue
> > Jee Bhar Ke Nazara Ho Na Saka
> > Aik Baar Tera Deedaar Hua
> > Lykin Dubara Ho Na Saka
> > Tum Jitney Chupe , Roo Posh Hue
> > Utni Hi Mohabbat Bardhti Gai
> > Tum Ne To Kinara Kar Hi Lia
> > Humse Kinara Ho Bhi Na Saka
> > Toofaan Main Kashi Aan Phansi
> > Imdaad Kissi Ne Kuch Bhi Na Ki
> > Allah Bhi Hai Maalah Bhi Tha
> > Kishti Ko Kinara Ho Na Saka
> > Maloom Na Tha Anjaam Magar
> > Bhoole Se Mohabbat Kar Betha
> > Jise Dil Bhi Dia Or Jaan Bhi Di
> > Lykin Who Hamara Ho Na Saka
> > 12
> > Kya Pyar Mein Aissa Hota Hai
> > Kay Jissay Dil Chahay Uss Pay Mar Janay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Uss Kay Ansoo Pi Janay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Uss Kay Har Gham Ko Mitta Daynay Ko Dil Chahta Hai,
> > Kay Ussko Har Paal Muskurata Hua Dekhnay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Uss Par Zindagani Lutta Daynay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Uss Ka Hath Pakar Kar Ura Lay Janay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Usski Ankhon Mein Kho Janay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Usski Pyari Pyari Baton Ko Har Paal Sun Nay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Ussko Har Khushi Daynay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Ussko Har Chot Se Mehfooz Rakhne Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Usskay Rastay Mein Giray Huay Har Kantay Ko Utha Dayna Ko Dil
> > Chahta Hai
> > Kay Ussko Dil Mein Chupa Laynay Ko Dil Chahta Hai
> > Kay Ussko Har Paal Sapnon Mein Rakhnay Ko Dil Chahta Hai
> > Kya Pyar Mein Aissa Hota Hai
> > Kay Usski Parchayee Ko Hee Dekh Kar Dil Khush Hojata Hai,
> > Kay Usski Ek Nazar Se Hee Dil Ko Sukoon Ajata Hai
> > Kay Usska Chehra Charon Tarf Chajata Hai
> > Kay Usski Baat Baat Par Pyar Ajata Hai
> > Kay Usskee Bahon Mein Dil Mar Jana Chahta Hai,
> > Kay Usski Hathon Ki Rekhaon Ko Dil Badal Day Naa Chahta Hai
> > Kay Usskay Naseeb Mein Likhi Hua Har Gham Dil Apne Naam Karna Dayna
> > Chahta Hai
> > Kay Usski Har Khuaesh Ko Dil Pura Kar Dayna Chahta Hai
> > Kay Saray Jahan Ki Khushian Dil Usske Kadmon Mein Bicha Dayna Chahta
> > Hai,
> > Kya Pyar Mein Aissa Hota Hai
> > Kay Usske Sath Jina To Kya
> > Usske Sath Mar Janay Ko Dil Chahta Hai
> > Kya Pyar Mein Aissa Hota Hai
> > 13
> > Suno Dost
> > Tum Jahan Bhi Jao Jahan Bhi Thehro
> > Chahey Zameen Ke Kisi
> > Aakhri Koney Ki Taraf Nikal Jao
> > Beshak
> > Humain Tum Bhool Jao
> > Magar
> > Itna Yaad Rakhna Tumharey Saarey
> > Hawalon Ko
> > Hum Zameen Ki Panah Gahon
> > Mein Mehfooz Rakhunga
> > Tumhari Saari Baaton Ko
> > Tumharey Sang Beetey
> > Lamhon'saari' Yaadon Ko
> > Dil K Pass Rakheinga
> > Suno Dost
> > Tumhain Hum
> > Yaad Rakhain Gay
> > Dilse Kahaa Hai
> > 14
> > Chal Tujhko Geet Likhoo Par Kese Geet Likhoo
> > Man Mandir Man Bhawan Man Meet Likhoo
> > Chal Tujhko Geet Likhoo
> > Aankh Ko Likhoo Raag Bhervee Honth Ko Likhoo Raag Basanti
> > Rukhsaro Ko Likhoo Raag Manjre Lat Ko Raag Multani
> > Purwai Main Urein Latein To Likhoo Raag Darbaari
> > Mand Mand Muskay Jo To Likhoo Raag Darbari
> > Yani Sar Se Paon Talak Tujhko Sangeet Likhoo
> > Chal Tujhko Geet Likhoo
> > Bahar Se Tu Phool Ki Jese Pari Hai Or Sundar Hai
> > Bheetar Se Uper Wala Hi Jane Mom Hai Ya Pathar Hai
> > Kis Se Poochoo Kese Poochoo Dhoop Ya Chaya Likhoo
> > Is Uljhan Main Para Hua Hoo Tujhko Main Kya Likhoo
> > Cha Ke Tujhko Apni Haar Ya Jeet Likhoo
> > Chal Tujhko Geet Likhoo
> > Mere Kalpana Ke Kapool Pe Garm Sa Chumbhan Rakh De
> > Mere Pyase Sapno Ke Saanso Pe Sugandhet Sa Alingan Rakh De
> > Mere Man Pe Apna Man Rakh Kar Mera Man Rakh De
> > Jis Se Manavta Ko Ad Budreet Likhoo
> > Chal Tujhko Geet Likhoo
> > 15
> > Aahat Se Koi Aaye Tu Lagta Hai K Tum Ho
> > Saya Koi Lehrae Tu Lagta Hai K Tum Ho
> > Jab Shakh Koi Hath Lagate Hi Chaman Main
> > Sharmae Lachak Jae Tu Lagta Hai K Tum Ho
> > Rastek Dhundlake Main Kise Moudr Per Kuch Dour
> > Ik Loo Si Chamak Jae Tu Lagta Hai K Tum Ho
> > Sandal Se Mahakti Huwe Pur Keyf Hawa Ka
> > Chonka Koi Takrae Tu Lagta Hai K Tum Ko
> > Odrhe Huwe Taroo Ki Chamakti Huwechadar
> > Nadi Koi Bal Khaey Tu Lagta Hai Tum Ho
> > Jab Raat Gaye Koi Kiran Mere Barabar Main
> > Chup Chap So Jae Tu Lagta Hai K Tum Ho
> > 16
> > Hum Se Badal Gaya Wo Nigaahe To Kya Hua
> > Zinda Hai Kitne Log Mohabbat Kiye Baghair
> > Guzre Dino Mein Jo Kabhi Gunje The Keh Kahe
> > Ab Apne Ikhtiyaar Mein Wo Bhi Nahin Rahe
> > Kismat Mein Reh Gayi Hai Jo Aahe To Kya Hua
> > Sadma Ye Jhelna Hai Shikaayat Kiye Baghair
> > Wo Saamne Bhi Ho To Na Kholenge Hum Zubaan
> > Likkhi Hai Uske Chehre Pe Apni Hi Daastaan
> > Usko Taras Gayi Hai Ye Baahen To Kya Hua
> > Wo Laut Jaaye Hum Pe Inaayat Kiye Baghair
> > Pehle Karib Tha Koi Ab Dooriyaan Bhi Hain
> > Insaan Ke Naseeb Mein Majbooriyaan Bhi Hain
> > Apni Badal Chuka Hai Wo Raahen To Kya Hua
> > Hum Chup Rahenge Usko Malaamat Kiye Bahgair
> > 17
> > Dekhaa Tuje, Sochaa Tujhe, Chaahaa Tuje. Pooja Tujhe
> > Meri Khataa ,Meri Wafaa, Teri Khataa Kuch Bhi Nahi
> > Maangaa Khudaa Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi
> > Sochaa Nahi Achaa Buraa Dekhaa Sunaa Kuch Bhi Nahi
> > Jis Par Humaari Aankh Ne Moti Bichaaye Raat Bhar
> > Bhejaa Wahi Kagaz Isse Humne Likhaa Kuch Bhi Nahi
> > Aankhon Se Ki Baaten Bahut , Mooh Se Kahaa Kuch Bhi Nahi
> > 18
> > Din Gujar Gayaa Aitbaar Main
> > Raat Katt Gayi Intezaar Main
> > Wo Mazaa Kahaan Wasle Yaar Main
> > Lutf Jo Milaaa Intezaar Main
> > Kis Tarhaan Yeh Ghum Bhool Jaayen Humm
> > Wo Judaa Huaa Is Bahaar Main
> > Aankh Jo Uthi Unki Taraf
> > Dil Ulajh Gayaa Husne Khaar Main
> > Tujh Se Kia Kahhen Kitne Ghum Sahen
> > Hum Hain Bewafa Tere Pyar Main
> > 19
> > Dosti Kia Hay?
> > Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai
> > Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai
> > Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
> > Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai
> > Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai
> > Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai
> > Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai
> > Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai
> > Dosti Yoon Tou Maya Jaal Bhi Hai
> > Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai
> > Kabhi Furqat Kabhi Vissal Bhi Hai
> > Kabhi Zameen Kabhi Falak Bhi Hai
> > Dosti Jhoot Bhi Hai Such Bhi Hai
> > Dil Main Reh Jaiay Tou Kassuk Bhi Hai
> > Kabhi Ye Haar Kabhi Jeet Bhi Hai
> > Dosti Saaz Bhi Sangeet Bhi Hai
> > Sheir Bhi Nazam Bhi Geet Bhi Hai
> > Wafa Kia Hai Wafa Bhi Dosti Hai
> > Dil Say Nikli Dua Bhi Dosti Hai
> > Bus Itna Samajh Lou
> > Piyar Ki Inteha Bhi Dosti Hai
> > 20
> > Is Dil Se Teri Yaad
> > Is Dil Se Teri Yaad Ko Bhulana Aasaan Nahi,
> > Aur Darde Dil Ko Dil Me Chupana Bhi Aasaan Nahi.
> > Kehta Hoon Sabse Koi Naata Nahi Mera Tumse,
> > Aur Apni Gazlon Se Tera Naam Mitana Bhi Aasaan Nahi.
> > Sochta Hoon Kyon Chup Hoon Teri Bekhabari Par,
> > Aur Tumhi Ko Dil Ka Haal Sunana Bhi Aasaan Nahi.
> > Wo Dard Bankar Meri Aankhon Me Rahti Hai,
> > Aur Use Palkon Se Bahana Bhi Aasaan Nahi.
> > Uski Yaaden Mere Daaman Me Nashtar Chubhati Hain,
> > Aur Duniya Me Is Daulat Ko Lutana Bhi Aasaan Nahi.
> > Apne Dilse Uske Pyar Ko Mitana Mushkil Hai Magar,
> > Aur Uske Dil Me Apni Muhabbat Jagana Bhi Aasaan Nahi
> > 21
> > Meri Nigahoon
> > Meri Nigahoon Main
> > Mery Nazaroon Main
> > Har Ek Fasanay Main
> > Aur Har Kahani Main
> > Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
> > Main Chahon Jis Ko
> > Main Mangon Jis Ko
> > Main Paoon Jis Ko
> > Main Haaron Jis Ko
> > Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
> > Mere Hansnay Main
> > Mere Roonay Main
> > Mere Jagnay Aur Soonay Main
> > Tum Hi Tum Ho Jahan Bhi Dekhon
> > Jahan Bhi Jis Rastay Per Main Jaoon
> > Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
> > Tera Wo Milna
> > Tera Wo Khona
> > Tera Wo Aana
> > Tera Wo Jana
> > Wo Mil Kar Ek Baar Phir Bicharna
> > Har Ek Nagar Main, Har Ek Safar Main
> > Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
> > Meri Nazar Main Nazara Ban Ke
> > Mere Labon Pe Fasana Ban Ke
> > Aur In Ragon Main Lahoo Ban Ke
> > Meri Neendon Main Khwaab Ban Ke
> > Mere Dil Mein Dilse Ban Ke Sirf ???
> > Tum Hi Basy Ho, Bas Ek Tumhi Ho
> > 22
> > Mere Saaye Ka Na Peecha Karna,
> > Abr Ka Tukda Hoon,Kya Jaane Kidhar Jaaunga.
> > Mere Shahar Me Kabhi Tum Aao To Sanam,
> > Phoolon Ki Tarah Teri Raahon Me Bikhar Jaaunga.
> > Khuda Ki Na Sahi,Teri Hi Nazre Karam Ho To,
> > Teri Zulfon Ki Tarah Khud Aap Sawar Jaaunga.
> > Tujhe Bhoolne Ka Vaada Na Kar Paaunga Sanam,
> > Tu Hi Nazar Aayegi,Main Chahe Jidhar Jaaunga.
> > Pyase Sehra Me Jo Tere Pyar Ki Baarish Ho Jaaye,
> > Gulabon Ki Manind Fir Ik Baar Nikhar Jaaunga.
> > Kabhi Hum Se Dil Bhar Jaaye To Shauk Se Bata Dena,
> > Tera Pyar Dil Me Liye Chup-Chaap Guzar Jaaunga
> > 23
> > "Koi Hum Sey Pochey"
> > Tanhaiyon Ka Zehar Peena Kesa Lagta Hai
> > Koi Hum Sey Pochey
> > Kisi Ki Yadoon Main Khoyey Rehna Kesa Lagta Hai
> > Koi Hum Sey Pochey
> > Kabhi Akelay Main Apnay Aap Hi Hans Dena Kesa Lagta Hai
> > Koi Hum Sey Pochey
> > Kabhi Tanha Bethay Bethay Khud Hi Rolena Kesa Lagta Hai
> > Koi Hum Sey Pochey
> > Kissi K Intizar Ki Bechaini Main Taraptey Rehna Kesa Lagta Hai
> > Koi Hum Sey Pochey
> > Yeh Jaan Kar Bhi K Aanay Wala Aye Ga Nahin
> > Us Ki Rahoon Main Palken Bichaey Baithna Kesa Lagta Hai
> > Koi Hum Sey Pochey
> > Neend To Ankhon Se Koson Meel Door Hai
> > Yeh Soch Ker Raton Ko Tarey Ginna Kesa Lagta Hai
> > Koi Hum Sey Pochey
> > Kiya Pata Agli Subha "Un" Ka Deedar Naseeb Ho
> > Yeh Sooch Ker Khuda Sey Dua Mangtey Rehna
> > K Abhi Din Ka Ujala Ho Jaey Kesa Lagta Hai
> > Koi Hum Sey Pochey....!! !
> > 24
> > Pyaar Ki Haqeeqat
> > Koi Poochay Is Duniya Say Yeh Pyaar Kya Hota Hai,
> > Yeh Ishq, Mohabbat Kya Khumar Hota Hai.
> > Kyun Kisi Say Itna Pyaar Hota Hai,
> > Dil Kyun Har Waqt Bayqarar Hota Hai.
> > Ruswaiy Hi Kyun Miltey Hai,
> > Kyun Nahein Dil Ki Kali Khilti Hai.
> > Bawafai Hi Kyun Badla Mein Miltey Hai,
> > Doosroon Ki Baanchain Hi Kyun Khiltey Hai.
> > Aik Jawab Meri Samajh Mein Aata Hai,
> > Yeh Pyaar, Mohabbat, Ishq Sub Bayqar Hota.
> > Kya Karein Aisay Ishq Kai , Jis Ka Bhairha Paar Hi Nahi Hota,
> > Kya Karein Aisay Pyaar Ka Jo Dil Per Chootain Lagata Hai,
> > Kya Karein Aisey Mohabbat Ka Jo Neend Hi Lay Jatey Hai.
> > 25
> > Do Ashq Meri Yaad Mein Bahaa Jaate To Kya Jaata
> > Chand Kaliyaan Laash Par Bichaa Jaate To Kya Jaata
> > Aaye Ho Mayyat Par Sanam Oodh Kar Naqaab Tum
> > Agar Ye Chaand Ka Tukda Dikhaa Jaate To Kya Jaata
> > Poochte The Log Tumse Kiska Hai Janaazaa Yeh
> > Marne Waala Kaun Tha Bataa Jaate To Kya Jaata
> > Sabke Saamne Merii Ulfat Ko Ruswaa Kar Diyaa
> > Nazar Ki Talkhii_Yaan ,Chupaa Jaate To Kya Jaata
> > Har Zakhm Ne Mere Tumhe Diin Hain Duaayen Umr Bhar
> > Haye, Ik Baar Seene Se Lagaa Jaate To Kya Jaata
> > Tumko Yaad Karte-Karte Jaan De Di "Maikash" Ne
> > Ikk Chiraag Hi Mazaar Par Jalaa Jaate To Kya Jaata
> > 26
> > -:- Mohabbat Tum Nay Kab Ki Hai -:-
> > Mohabbat Tu Main Nay Ki...
> > Tum Nay Bas Mujh Ko Tarpaana Thaa
> > Aur Mujhay Ko Tarapna Thaa
> > Tum Nay Tu Bas Mujh Ko Pagal Karna Thaa
> > Aur Mujhay Pagal Hona Thaa
> > Mohabbat Tum Nay Kab Ki Hai
> > Mohabbat Tu Main Nay Ki Hai
> > Tum Nay Bas Apnay Paon Ki Khak Ki Tarha
> > Mujh Ko Jhar Dala
> > Aur Main Khizan Kay Uss Paaty Ki Tarha
> > Jhar Gaya Jis Ka Koi
> > Humsafar Bhi Nahi Hai
> > Mohabbat Tum Nay Kab Ki Hai
> > Mohabbat Tu Main Nay Ki Hai
> > Tum Nay Tu Bas Dewana Banana Thaa
> > Aur Meray Dil Ko Awara Badal Banana Thaa
> > Mohabbat Tum Nay Kab Ki Hai Jana
> > Mohabbat Tu Main Nay Ki Hai
> > 27
> > Is Hasrat Se Mila Kya Mujhko
> > Ik Jhalak Mere Dildaar Ki
> > Is Muhabbat Se Mila Kya Mujhko
> > Bechaini-O-Beqarari Yaar Ki,
> > Is Ashiqui Se Mila Kya Mujhko
> > Ik Sunahari Raah Ishq Ki,
> > Aur Tere Pyaar Se Mila Kya Mujhko
> > Ik Raah Jeene Ki Hamvaar Si.
> > Na Jee Bhar Ke Dekhaa Na Kuch Baat Ki,
> > Badi Aarzoo Thi Mulaqaat Ki,
> > Kaye Saal Se Kuch Khabar Hi Nahin,
> > Kahaan Din Guzaaraa Kahaan Raat Di,
> > Main Chup Tha Tou Chalti Hawa Ruk Gayi,
> > Zubaan Sab Samajhte Hain Jazbaat Ki,
> > Sitaaron Ko Shaayad Khabar Hi Nahin,
> > Musaafir Ne Jaane Kahaan Raat Ki...
> >
> > 28
> > Ek Waqt Tha Jab Hum Yeh Socha Karte The
> > Yeh Ishq Kya Hota Hai
> > Yeh Dillagi Kya Hoti Hai
> > Yeh Dil Ka Tootna Kya Hota Hai
> > Yeh Tadapna Kya Hota Hai
> > Aur Ab Waqt Hai Jab Hum Samajh Chuke Hain Ki
> > Yeh Ishq Kya Hota Hai
> > Yeh Dillagi Kya Hoti Hai
> > Yeh Dil Ka Tootna Kya Hota Hai
> > Yeh Tadapna Kya Hota Hai
> > 29
> > Yeh Zaroori To Nahi
> > Yeh Kya Haal Banaliya Hai Tumne Apna
> > Ab Os Ka Haal Bhi Tumhare Jaisa Ho
> > Yeh Zaroori To Nahi
> > Haari Hai Tumne Bazi Mohabbat Ki
> > Zindagi Ki Bazi Bhi Haar Jao
> > Yeh Zaroori To Nahi
> > Is Pal Mohabbat Par Bohot Naaz Hai Tum Ko
> > Ab Har Pal Yehi Dohrao
> > Yeh Zaroori To Nahi
> > Zinda Reh Kar Bhi Rasm-E-Mohabbat Ada Hosakti Hai
> > Ab Mar Kar Hi Yeh Rasam Nibhaou
> > Yeh Zaroori To Nahi
> > Kabhi Kisi Se Mohabbat Na Karna
> > Aisi Naseehat Matt Diya Kar Mujhe
> > Jo Tere Saath Howa, Who Mere Saath Bhi Ho
> > Yeh Zaroori To Nahi
> > Zindagi Ke Safar Mai,
> > Har Mosaafir Khowaab Dekhta Hai
> > Ab Tabassom Tera Bhi Khowaab Poora Ho
> > Yeh Zaroori To Nahi
> > 30
> > Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta
> > Waqt Se Maango To Hisaab Nahin Milta
> > Hasino Se Maango To, Piyar Nahi Milta
> > Binaa Husn Ke Ishq Ka, Khitaab Nahi Milta
> > Dil To Miltey Hai,Dil-E-Betaab Nahi Miltaa
> > Andhero Main Jo Nikley,Vo Aaftaab Nahi Milta
> > Gam-E- Ishq Choopane Ko Nakaab Nahi Milta
> > Raat To Ho Jati Hai, Magar Khuwaab Nahi Milta
> > Dost Mil Jaatey Hai, To Umair Nahi Milti
> > Anjaam Mil Jaatey Hai, To Aagaaz Nahi Milta
> > 31
> > Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He
> > Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyar Mila He
> > Guzar Rahi Hey Zindagi Imtehan Ke Daur Se
> > Ek Khatam Howa Tou Dosra Tayar Mila He
> > Mere Damaan Ko Khushiyo Ka Nahi Malaal
> > Gham Ka Khazana Jo Isko Beshumar Mila He
> > Who Kamnasib Hein Jinhe Mehboob Mil
> > Mein Khushnasib Ho Mujhe Intezar Mil
> > Gham Nahi Mujhe Ke Dushma Howa Yeh Zamana
> > Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hey
> > Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala Kaiseyde Diya
> > Mujhe Tou Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila Hey
> > 32
> > Ek Jurm Hay Mohabbat
> > Jo Main Ne Kya Hay
> > Ek Ghalti Hay Mohabbat
> > Jo Mujh Se Hooi Hay
> > Ek Dard Hay Mohabbat
> > Jo Mujhay Hooa Hay
> > Ek Ehsaas Hay Mohabbat
> > Jo Main Ne Mehsoos Kia Hay
> > Ek Jazba Hay Mohabbat
> > Jo Meray Andar Hay
> > Ek Bhool Hay Mohabbat
> > Jo Main Ne Ki Hay
> > Ek Phool Hay Mohabbat
> > Jo Main Ne Khilaya Hay
> > Aur Iss Ki Khushboo Main
> > Charon Taraf Bakhair Doon Ga...!!!
> > 33
> > Bholna Itnaa Asan Nahi
> > "Ke Main Tujhay Bhool Jaon
> > Aaj Phir Dil Bohat Ghabraya
> > Maiany Usko Ye Samjhaya
> > Ke Bholna Itnaa Asan Nahi
> > Tu Ager Dil Ki Dhadken Hota
> > Tou Mera Dil Dhadkna Bhool Jata
> > Tu Ager Sanso Main Ji Raha Hota
> > Tu Sansoo Ki Dour Tou Hoti Hi Kachi Hay
> > Tu Ager Khayalon Ka Markaz Hota
> > Tou Main Hosh-O- Khird Say Baygana Hota
> > Mager Afsos
> > Tu Tou Meri Rooh Ka Hamzaad Hay
> > Us Main Azal Say Layker Abd Tak Abaad Hay
> > Or Rohh Kabhi Fana Hoti Nahi
> > Kabhi Miti Main Ja Ker Soti Nahi
> > Kabhi Dil Ki Taraha Roti Nahi
> > Sans Ki Dor Ki Taaraha Kachi Hoti Nahi
> > Jab Rooh Say Talaq Toot Sakta Nahi
> > Or Khuda Bhi Usko Bhool Sakta Nahi
> > Tou Ayay Qarar-E- Dil
> > Aaj Tu Itna Jaan Lay K
> > Bhollna Itna Aasaan Tou Nahi
> > 34
> > Zindagi Mein Kuchh Lamhaey Aisay Aatey Hain
> > Har Cheez Dhundla Jati Hae Sirf Khvaab Nazar Atey Hain
> > Khvaab Hi Tu Hain Jo Hamesha Saath Rehtey Hain
> > Woh Janey Kaha Gaye Ab Tu Bas Un Ki Yadaien Hain
> > Unn Sae Mil Ke Phir Yeh Ehsaas Honey Lagaa
> > Wohi Ek Bas Apney Han Baqi Sab Tu Paraaye Hain
> > Unn Ki Yeh Adda Hii Saab Sae Ziaadaa Bha Gai
> > Jab Bhi Hum Un Ko Dehktey Hain Woh Sharma Jatey Hain
> > Hum Ne Kabhi Bhi Unse Koi Gila Na Kia
> > Phir Bhi Woh Humey Har Waqt Sataatey Hain
> > Kuch Aysa Rishta Tha Merey Un Ke Darmiyaa
> > Jaise Do Panchi Milttay Hain Phir Bichrr Jatey Hain
> > Hir Haal Mae Hum Ne Kosshish Ki Bhoolany Ki
> > Lekin Phir Bhi Us Ajnabi Ke Saaye Nazar Atey Hain
> > Humary Saath Ab Ziaadaa Kuch Tu Nahi Hae
> > Bas Hae Ye Chandni Raat Aur Kuch Sitaarey Hain
> > 35
> > Bhool Ker Bhi Bhula Nahi Sakte
> > Aur Hum Tujh Ko Paa Nahi Sakte
> > Khud Pe Ilzaam Dhar Liya Hum Ne
> > Tujh Pe Tohmat Laga Nahi Sakte
> > Dil Pe Likha Hai Yun Tera Naam
> > Chah Ker Bhi Mita Nahi Sakte
> > Us Ne Duniya Bhula Ker Rakh Di Hai
> > Hum To Lab Bhi Hila Nahi Sakte
> > Bhool Jaate Hain Roz Woh Yeh Keh Ker
> > Hum Tum Ko Bhula Nahi Sakte
> > Bhool Ker Bhi Bhula Nahi Sakte
> > Aur Hum Tujh Ko Paa Nahi Sakte
> > Khud Pe Ilzaam Dhar Liya Hum Ne
> > Tujh Pe Tohmat Laga Nahi Sakte
> > Dil Pe Likha Hai Yun Tera Naam
> > Chah Ker Bhi Mita Nahi Sakte
> > Us Ne Duniya Bhula Ker Rakh Di Hai
> > Hum To Lab Bhi Hila Nahi Sakte
> > Bhool Jaate Hain Roz Woh Yeh Keh Ker
> > Hum Tum Ko Bhula Nahi Sakte
> > 36
> > "Phir Na Dena Sada Humko
> > "Phir Na Dena Sada Humko
> > Phir Na Loat K Aaiengey Hum
> > Phir Na Kehna Bewfa Humko
> > Ye Aur Baat Hey K Ek Baar Nahi So Baar
> > So Bar Nahi Bar Bar
> > Tera Naam Lene Se Milti Hey Shafa Humko
> > Phir Na Dena Sada Humko
> > Phir Na Loat K Aaiengey Hum
> > Yeh Waqt Bhi Bara Zalim Hey
> > Na Iss Ke Paas
> > Dil Hey
> > Na Aankh
> > Na Aansoo
> > Na Ehsaas
> > Iss Toofan Main Bikhar Jaiengey Hum
> > Phir Na Sametna Humko
> > Phir Na Dena Sada Humko......
> > 37
> > Mayoos Mat Hona Yeh Aik Gunnah Hota Hai
> > Milta Wahi Hai Jo Qismat Main Likha Hota Hai
> > Har Cheez Miley Humain Yeh Zaroori Tou Nahi
> > Kuch Cheezon Ka Zikar Doosre Jahan Main Hota Hai
> > Jo Khud Ko Kostey Hain Woh Shayed Bekhabar Hain
> > Kuch Paalene Ka Ikhtiyar Khud Pe Bhi Hota Hai
> > Har Aik Ko Barsar-E-Ilzam Kiun Thehrayein Hum
> > Apne Samne Bhi Tou Aik Ayeena Hota Hai
> > Hum Apni Zindagi Se Kiun Haar Jayein
> > Gar Doobta Hai Sooraj Tou Kal Tuloo Bhi Tou Hota Hai
> > Kaash Kay Aisa Ho Jaye!
> > Kisi Qadam Par Mehsoos Na Ho Kami Meri
> > Kisi Maqam Per Mujh Ko Yaad Na Karo Tum
> > Khushiyo May Aisay Apni Magan Raho
> > Kabhi Mazi Kay Warq Na Palto Tum
> > Magar Yeh Bhi Yaad Rakhna!
> > Agar Kisi Manzil Per Pahaunch Kar Koi Dard Mil Jaye
> > Aankh Tumhari Jo Kabhi Pur Nam Ho Jaye
> > Kabhi Kisi Apnay Ki Kami Mehsoos Karo To
> > To Tum Mujhay Pukar Laina
> > Aur Agar Yeh Bhi Na Kar Pao To!
> > Dil Ko Apnay Simayt Laina
> > Aur Bas Yaad Mujhay Tum Kar Laina
> > Aankho Kay Duwaro Ko Band Kar Laina
> > Mehsoos Mujhay Tum Kar Laina
> > Aur Phir Yun Karna Kay!
> > Saray Raaz Apnay Dil Kay
> > Tum Mujh Say Keh Laina
> > Saray Dard Apnay Dil Kay
> > Tum Mujh Say Baant Laina
> > Bas Meri Ek Aakhri Khuwaish Yaad Rakhna!
> > Jab Meri Hayat Ka Safar Tamam Honay Lagay
> > Meray Qadam Meri Akhri Manzil Ki Taraf Rawan Honay Lagay
> > Mujhay Lahayd Tak Lay Janay Walay Chaar Apnay Kandho May
> > Ek Kanhdha Tumhara Bhi Ho!
> > 38
> > Mere Aansoo
> > Suna Hoga Bohat Tum Nay ....
> > Kahin Aankhon Ki Rim Jhim Ka
> > Kahin Palkon Ki Shabnam Ka...
> > Parha Hoga Bohat Tum Nay ....
> > Kahin Lehjay Ki Barish Ka
> > Kahin Sagar Kay Aansoo Ka...
> > Magar Tum Nay ,
> > Kabhi Humdam ...
> > Kahin Daikhay ?
> > Kahin Parkhaay ?
> > Kisi Tehreer Kay Aansoo ??...!!
> > Mujhay Tairee Judaai Nay ...
> > Yahi Mairaaj Bakhshi Hai....
> > Kay Main Jo Lafz Likhta Hoon ...
> > Woh Saray Lafzz Rotay Hain
> > Kay Main Jo Harf Banta Hoon ...
> > Woh Saray Baiin Kartay Hain
> > Mairay Sang Is Judaai Main ...
> > Mere Alfaaz Martay Hain
> > Sabhi Tareef Kartay Hain ...
> > Meri Tehreer Ki Lekin...
> > Kabhi Koi Nahin Sunta ...
> > Mairay Alfaaz Ki Siskee...
> > Falak Bhi Jo Hila Daalay....
> > Mere Lafzon Main Hain Shamil ...
> > Ussi Taseer Kay Aansoo...
> > Kabhi Daikho Mairay Humdam...
> > Mairaee Tehreer Kay Aansoo..!!!! !!!!!
> > Mairaee Tehreer Kay Aansoo..!!!! !!!!!
> > 39
> > Un Ke Bina Ab Chup Chap Rehna Acha Lagta Hai,
> > Khamoshi Sey Dard Ko Sehna Acha Lagta Hai,
> > Jis Hasti Ke Yaad Mein Aanso Barstey Hain,
> > Samne Unke Kuch Naa Kehna Acha Lagta Hai,
> > Mil Kar Os Se Bichar Naa Jaaon Darte Rehthi Hon,
> > Is Liye Bas Door Hi Rehna Acha Lagta Hai,
> > Janthi Hon Ke Chahat Mein Bas Aanso Milte Hain,
> > Kuch Bhi Ho Ab Is Zehar Ko Peena Acha Lagta Hai,
> > Je Chahey Sab Khushiyan Laa Kar Unko De Doon,
> > Unke Pyaar Mein Sab Kuch Khona Acha Lagta Hai,
> > Unka Milna Naa Milna Qismat Ki Baat Hai,
> > Pal Pal Unki Yaad Mein Roona Acha Lagta Hai,
> > Unke Bina Sab Khushiyan Ajeeb Si Lagti Hain,
> > Roo Roo Kar Unki Yaad Mein Sona Acha Lagta Hai
> >
> > Yogesh Kashyap, ummed karta hoon apako yeh collection pasand ayegi
> >
> > Furqan
> >
>



Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now.


Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now.

__._,_.___
       Rukhsana group*. * . * . * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
                  *. * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
            *. * .*_/\_ *. * . * . * . * . * . * . * . * .*
                 .���.�*��) �.�*�) �.���.�*��) �.�*�)
                             (�.�� (�.�` *
                              '...**,''',...

     Friendship is a collection of hearts, ready 2 give, share and
   understand. It never fades & never ends. It only reminds us that
                 life is not perfect without a friend
                             '...**,''',...
                             (�.�� (�.�` *
                  �.���.�*��) �.�*�) �.���.�*��) �.�*�)
                   *. * .*_/\_ *. * . * . * . * . * . * . * . * .*
                       *. * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
                   *. * . * . * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
                              _./'\._��.��**��.�.��**��..
                                      *�. .�* *
                             /.�*�.\ �..��**��.,.��**��.*.
                        *************************************

                        Enjoy your stay at Rukhsana Group.

                        Moderators Rukhsana Group:
                        Aika Rani,Mumtaz and Sitara

                   Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
                   Rukhsana-owner@yahoogroups.com                        
Recent Activity
Visit Your Group
Y! Messenger

Group get-together

Host a free online

conference on IM.

All-Bran

Day 10 Club

on Yahoo! Groups

Feel better with fiber.

Yahoo! Groups

Do More For Dogs Group

Connect and share with

dog owners like you

.

__,_._,___

No comments: